Muftiyan e Daar se kehti hai Karbala
Bid’at usi ka zikr jo jina silkha gaya
Tum se to ek babari masjid na bach saki
Mera Hussain sari shriyat bacha gaya
Mera maula maula Hussain hai
Jo hua Navasa e mustafa
Vo Ali ka beta Hussain hai
Jo Yazeediyat ko fanah kare
Chale karbala vo Hussain hai
Bibi Fatima ka Wo ladla
Mera Badshah Wo Hussain hai
Mera maula maula Hussain hai
Kya sunau Wakiya karbala
Haye teer neza kaha laga
Jise chumate rahe Mustafa
Wo Hussaini sar tha kata hua
Sara ghar ka ghar bhi luta diya
Wo jo kar gaya vo hussain hai
Mera maula maula Hussain hai
Yahi Bole Hazrate Hoor Shaha
Ya Hussain apka shukriya
Ke Yazeediyon se nikal kar
Jo Hussainiyon mein bitha diya
Muje manzilon ka pata diya
Mera rehnuma Wo Hussain hai
Mera maula maula Hussain hai
Wo bhi bada kitna ajib hai
Jo kahe Yazeed bhi thik hai
Ya Hussaini ban Ya Yazeedi ban
Ese juth me sharik hai
Kyu do kashtiyon ka savar hai
Jo hai hak-numa Wo Hussain hai
Mera maula maula Hussain hai
Jo Dare Hussain pe aa aagaya
Sari mannaton ko Wo pa gaya
Ye garana aale-Nabi ka hai
Jo sakhavaton ko sikha gaya
Jo fakir ko kare badshah
Esa Badshah Wo Hussain hai
Mera maula maula hussain hai
Ye wazifa hai meri naukari
Mai padunga nade ali ali
Mai piyunga jame tarangari
Mai lagaoo naarae Haidari
Do Ujagar ishk mai ye sada
Muje mil gaya Wo hussain hai
Mera maula maula hussain hai