Aey Meray Waqt kay Imam x2
Sajjad na ghabra ke ye hai manzil e dushwaar
Qurbaan phupi tujhpay mere laaghir o beemaar
Aey Meray Waqt kay Imam (longer one) x2
Zainab Hai Teray Saath, Zainab Hai Teray Saath
Shabbir ke laashe se nigahon ko hata le
Gham dil me chhupa le
Kuchh der ko seene se yateemon ko laga le
Marne se bacha le
Ab tere siwa inka nahi koi madadgaar
Ab tere siwa kon hai duniya me hamara
Tu hi hai sahara
Sajjad kabhi khud ko tu tanha na samajhna
Mayoos na hona
Har gaam pe saaye ki tarha ey mere beemaar
Chorus
Khaane hain tujhe shaam talak kode pe kode
Har aik laein ke
Wallah ke dekha nahi jayega ye mujhse
Par doongi dilaase
Ghabrana nahi hai jo sitam dhayen jafakaar
Kuchh der me dhayega sitam shimr e sitamgar
Lut jayega ye ghar
Dekhoge mujhe nargha e aada me khule sar
Chhin jayegi chadar
Allah kare kher qayamat ke hain aasaar
Lab haaye shahe dee’n pa chhadi maarne wala
Dushman hai hamara
Wallah qayamat se nahi kam ye nazara
Lekin mere beta
Khutbon se ulatna hai hame shaam ka darbaar
Zindaa’n ke andheron me na mar jaye hazeena
Darti hai sakina
Kis tarha bhala isko main le jaon madina
Dushwar hai jeena
Phat ta hai jigar mera jo dikhlaati hai rukhsaar
Jis waqt qadam shaam ke darbaar me rakkha
Sajjad ko dekha
Aankhon se rawaa’n khoon tha aur zard tha chehra
Dushwar tha jeena
Zenab ne sada di ke sanbhal ey mere jarrar
Asif hon raqam kaise aseeraan ke naale
Koi to sanbhaale
Pabande rasan ho gaye sab nazon ke paale
Paon me hain chhale
Dauraan e safar kahti thi maham ye dilafgaar