Dashte Karbala Mai Kehti Thi Zehra… Aye Wallah… Wallah… Aye Wallah
Ek Din Mai Mera Ghar Ujar Gaya
Ek musafir he teen din ka pyasa
Sabr ka khuda he deen ka asaasa
Fauj sab qatl huwi… Haye Hussaina!
Karbala rone lagi… Haye Hussaina!
Choor he thakkan se, gowd ka paala… Aye Wallah
Ja baja parey hein aqraba ke laashe
Hai badan kisi ka, haath hein kisi ke
Be kafan laash sabhi… Haye Hussaina!
Ye zameen tapti huwi… Haye Hussaina!
Phir bhi bachpane ka waada nibhaya… Aye Wallah
Kaise dediye ye imtehaan beta
Ek javaan bhai, ek javaan beta
Sab tujhe chhor gaye… Haye Hussaina!
Dil tera tor gaye… Haye Hussaina!
Hausala barhane aa gaye Baba… Aye Wallah
Khaak par Sakina kar rahi thi nauha
Ayi-ye Najaf se ab madad ko dada
Ayi Haidar ki sada… Haye Hussaina!
Teri himmat pe fida… Haye Hussaina!
Jo na kar saka me, tune kardiya… Eyvallah
Ye zameen e maqtal, khoon ugal rahi he
Dashte Karbala me kaisi bekasi he
Dar e Khama pe behan… Haye Hussaina!
Hay labon par ye sukhan… Haye Hussaina!
Teri musibat par, roye gi dunya… Aey Wallah
Ek naya sitam he ye dil e hazeen par
Ab he tera laasha, zeen na zameen par
Woh tera khushk dahan… Haye Hussaina!
Kund khanjar ki chubhhan… Haye Hussaina!
Bas tujhe bachane, aa gayi beta… Aey Wallah
Farshe gham pe Mesum jab parha ye nauha
Dil tarap raha tha Mazhar Abidi ka
Matami keh-ne lagey… Haye Hussaina!
Ashq aankhon se girey… Haye Hussaina!
Marsiya mukammal he yahi jumla… Aey Wallah