BAAD MERE ZULM YEH MOLA PY DHAYA JAYE GA Lyrics – Joan Rizvi Noha 2020/1442

Ho chukay bazu wafadar kay shano say juda
seenay pa aankh main peeshani pay hai teer laga
mout ka zaiqa chaya hai zaban per laikan
aakhri saansoon main Abbas a.s yehi kehta raha
Bad mere zulm yeh mola pa dhaya jayay ga
sheh rag e Shabbir (as) pay khanjer chalaya jayay ga
mere saansain band honay par qayamat ayay gi
baad mere chadar e tatheer looti jayay gi
bait e Zahra(sa) ki tarhan khaima jalaya jayay ga
mere hathoon kay qalam honay sa hai dukh yeh siwa
shamioon kay hath haungay aur Zainab(sa) ki Rida
Shaam tak kitnay hi hathoon per uthaya jayay ga
ayay gi baba ki mayyat per Sakina ronay jab
Syeda Zainab(sa) ki janay shamir kay hathoon sa tab
kis tarhan Bibi k baloon ko churaya jayay ga
kaise be chani main hoga Syeda Zahra(sa) ka chain
kis tarhan Zinda rahay ga us ghari Mola hussain(as)
teer jab Asghar ki gardan pa chalaya jayay ga
qatil e akbar mere Mola ka lay ga imtehan
tod day ga shakal e peghambar k seenay main sina
sabar borhay baap ka youn aazmayay jayay ga
saray ghar na syeda (sa) keh ker bulaya hai jinhain
Shaam lay jayain ker k qaid jab shami inhain
Zainab o kulsoom keh keh kar bulaya jayay ga
amad e Shabbir tak Akbar tha yeh Ghazi ka haal
Khud hi rota jata tha aur kerta tha khud sa sawal
Haal Maan ummal Baneen ko yeh sunaya jayay ga
Baad mere zulm yeh mola pa dhaya jayay ga.