Dil main ishq e karbala aur ankh main anso liya
hum chalay paidal yahan karbala kay wastay
kya hua gar is baras hum karbala na ja sakay
apnay Mola ki karimi pa bherosa hai mujha
dekhna jald maujza hoga
safar e ishq Karbala hoga
her qadam zehan main ho karbobala
aur hontoon per ya Hussaina ho
koi thak jayay chaltay chaltay agar
iski khidmat kero duain lo
in duaon ka yeh sila hoga
safar e ishq e karbala hoga
koi pyasa agar nazar ayay
usko pani pilao tum berh ker
her azadar ka khayal rekho
hoga shabbir ka karam tum per
jab karam tum pay barha hoga
safar e ishq e karbala hoga
soorat e rah e karbala her soo
hain kahi sabeelain kai mokib hain
dil main mojood hai ghum e sarwar
door karbala sa hum kab hain
sabki kismat ka faisla hoga
safar e ishq e karbala hoga
Aey azadaro bhool na jana
yaad saadat ka safar rekhna
haye woh rah e shaam aur kantay
jin pa sajjad nangay paon chalay
be rida haye Zainab e muztar
aur sir par barastay woh pathar
haye sadat na saha kya kya
kholta pani unpa phenka gaya
jis safar main hussain ki beti
shimr k tazyanay sehti rahi
sir thay naizay pa sab shaheedon kay
aur aseeron k hath jakray thay
aey wafadar k wafadaroon
tum jo azad ho azadaro
bus yeh sadqa hai un aseroon ka
ishq e mabood k safiroon ka
agay berhtay raho bara e Hussain
ho sada lab pa haye haye Hussain
Karbala dekhlen in ankhoon sa
kitna bechain hai humara dil
aey Habib e Hussain nam likhein
door rehna hai ab bauhat mushkil
nam jis jis ka bhi likha hoga
safar e isq e karbala hoga
ishq e sarwar ki inteha dekho
nangay paon hain log mehway safar
unkay rastay ko saaf kertay chalo
rah main ayay na koi kankar
khidmaton ka jo haq ada hoga
safar e ishq e karbala hoga
beth ker zairoon k kadmon main
ker rahay hain jo khidmatain her jaa
dekhker jazba o khuloos unka
mere dil sa nikal rahe hai dua
unki khidmat ka yeh sila hoga
safar e ishq e karbala hoga
yeh safar ki jiya qabool hussain
apko wasta hai abid ka
karbala hum bhi jayain aglay baras
joan o Zeeshan ker rahay hain dua
izn jab apka ata hoga
safar e ishq e karbala hoga