Bacha na koi jalay khaimay aur udaasi thi
baghair makna o chadar Rasool Zadi thi
Behan k samnay bhai tha tazyanay thay
woh Zad pa haye Tamachoo k shahzadi thi
chacha ki bhai ki baba ki yaad ati hai
na bhook pyas Sakina ko ab satati hai
Kalaja thaam k bethi thi jab gayay baba
zameen pa gir gaye yeh sun k mar gayay baba
Yateem ho gaye Zainab Ussay batati hai
na bhook pyas Sakina ko ab satati hai
Jala tha kurta to kanoon sa khoon behta tha
kisi nay maray tamachay koi jharakta tha
woh chaar saal k sin main jo ghum uthati hai
na bhook pyas Sakina ko ab satati hai
sada jo baba ko dati chali woh jangle main
pukaray aik tanay sir na haye maqtal main
zara si dair ko solay safar ko jati hai
na bhook pyas Sakina ko ab satati hai
woh tera nakay sa girna jo yaad ata hai
her aik ahlay aza ko bauhat rulata hai
woh bebasi jo tere maa ki yad ati hai
na bhook pyas Sakina ko ab satati hai
tadap k roti hai ma aur zainab o kulsoom
woh qaid main jo shahe masriqain ki mazloom
nisha woh rassi k jab peet pa dikhati hai
na bhook pyas Sakina ko ab satati hai
mila jo qaid main baba ka sir to roti thi
bayan ker k masaib ko jaan khoti thi
Sakina phir na uthi lakh maa bulati ha
na bhook pyas Sakina ko ab satati hai
yeh sadma haye na ahlay haram bhulaingay
tha armaan Rizvi ussay kab watan ko jayaingay
ussi ki qabar bhi Zinda banaye jati hai
na bhook pyas Sakina ko ab satati hai