Rehley Faraz sey jis ghari Quran girgaya
Zakhmo sey choor choor tha, aur rang zard tha
Haibat sey koi shakhs na, nazdeek jaata tha
Zinda hai ya kay margaey, yeh Kaisay ho pata,
Bola yeh Ibne Saad (LA) agar jaan na hai yeh, doraado ghorey
Khaimay ki jaanib Hussain kay
Jis dam sada suni dil e Zahra kay chayn ney, Ghabra kay aankh kholdi
bekas Hussain ney, Yeh bolay Shah e Zaman, kohnio kay bal uth kar
Na jaao khaimay ki jaanib
Abhi main Zinda houn
Abhi main Zinda houn
Na jaao khaimay ki jaanib
Abhi main Zinda houn x2
Lahu mein faatah e Khaybar, ka Josh baaqi hai
Hai choor choor badan, phir bhi hosh Baaqi hai
Lagaao aur badan mein, humaaray teer o tabar
Agar hai jaana tumhe mujh-ko mar kar jaao,
Humaara ajr e Risaa-lat utar kar jaao,
Galay pey pehlay meray, aakay pherdo khanjar
Zara si sharm karo Shah-zaadiyan hai yein,
Tumhaarey pyaarey Nabi, ki navaasiya hai yeh
Humaaray khaimo mein jaana, haraam hai tum par
Har ik shaheed ko namoo-s ro rahay hongay
Humaarey gham mein sabhi, hosh kho rahay hongay
Para hai ghash mein mera, laal Abid e Muztar
Humaara shayr jo darya, pey gar nahin sota,
Tumhaara naam o nishaan, bhi yahan nahin hota,
Samajh tey ho mujhe maj~boor o bekas o Muztar
Khayaam lutgaey jungal, mein Mahum o Ainee,
Hussain kehtay thay Maq-tal mein Mahum o Ainee,
Na dekh paoonga main, dard naak yeh manzar