Tittle: Aey Mere Be Zabaa’n
Recited: Mir Hasan Mir
Poetry: Janab Mir Takallum
Composition: Raza Shah
AEY MERE BE ZABAAN Lyrics
Aey mere be zuban,tum reh gaye Kahan
Asghar jiye gi kese,tere bagair maa
Haye Asghar mere Asghar,haye Asghar mere Asghar
Ae raaj dulare Asghar,maa tujh ko pukare Asghar
Meri ankh ke tare Asghar,aaja mere pyare Asghar
Aey mere be zuban,tum reh gaye Kahan
Asghar jiye gi kese tere bagair maa
Chehra wo chaand jaisa,kaise bhulai maa
Asghar jiye gi kese tere bagair maa
Kiya waqt agaya hai,bano ki bekasi per
Gurbat pe tere matam,kaise kaise karegi ki madar
Aada ne bandh di hain,hathon mai rasiyan
Asghar jiye gi kese tere bagair maa
Himmat pe maa tumhari,qurban kyun na Jaye
Sunti hai teer kha ker,tum ran Mai muskurai
Madar ki laaj rakh li,shabash meri jaan
Asghar jiye gi kese tere bagair maa
Madar ki hai wasiyat,beta khayal rakh
Godi mai in ki Asghar,jane ki zid na karna
Pehle hee hain shikasta,dadi ki pasliyan
Asghar jiye gi kese tere bagair maa
Kiya zer r khaak ab bhi soye ho mun chupai
Maa sari bibiyon se,sharminda ho na Jaye
Har ik shaheed Ka hai,sar bar sar e sina
Asghar jiye gi kese tere bagair maa
Dushwar hogaya hai,ran mai tumhara jeena
Ab khali god jaa ker,maa kia kre madina
Mujh ko wohin bula lo,ae laal ho jahan
Asghar jiye gi kese tere bagair maa
Sansein to chal rahi hain,zinda kahan rahi hai
Maa Zindagi se apni,azadi chahti ha
Mushkil khusha ho tum bhi,khulwado beriyan
Asghar jiye gi kese tere bagair maa
Jangle mai ik beta,awaz ghunjti ha
Yeh soch ker bhi madar,maqtal mai ro rahi ha
Lagta hai dard se tum,lete ho shiskiyan
Asghar jiye gi kese tere bagair maa
Yeh ujri god beta,kese sukoon paye
Halat pe teri maa ki,hanste hai shaam wale
Daman mai hain tumhare,jhoole ki lakriyan
Asghar jiye gi kese tere bagair maa
Rote thy sub Taqallum,ik maa ne jab Kaha tha
Paigham Karbala mai,jaker hawa yeh dena
Zindan ke dar pe ab bhi,bethi hai ik maa
Asghar jiye gi kese tere bagair maa