Aik Tehreer Uthate Lyrics – Sonu Monu Nohay 2021- Ayam e Fatmiyah Noha 2021

    

Aik tehreer uthaye boli darbaar me Aaakar zehra(Sa)
Logon main Binte-nabi(Sa) hun,,,
Aisa badla hai madina
Apna haq maang rhi hu ghaasib se
Kalma goh kursi-nashin hai
aur main kabse khadi hooon…
Aik tehreer uthaye boli darbaar me Aaakar zehra(Sa)
Logon main Binte-nabi(Sa) hun,,,
Poocha haider ne bata,
kya kya masjid me hua,
roke bas itna kaha,
kabhi deewaro ko thama,
kabhi main khaakh pe baithi hu thak kar,
kabhi beton ne sambhal,
kabhi raste me giri hun.
Woh toh kamseen hai abhi,
door hai shaam se bhi,
Zainab(Sa) ayegi kabhi,
mujhse zainab(Sa) ne ye pucha ,
kaha jaati ho batao aye amma,
maine zainab(Sa) se chupaya,
ke main darbaar chali hun.
Aise khaamosh ho kyu,
kehna chaho jo kaho,
amma kuch toh bolo
roke boli beto se
saath behno ka nibhaana karbal me
nange sar kaise chalegi
bas yehi soch rhi hun.
Jitne dukh maine sahe
gar woh din par bhi pade
woh siha raat bane
yehio dukh kam toh nhi hai
iss kadar tanha madine me hui
koi sunta hi nhi hai
ke main kya bol rhi hun…..