Aye mere watan Taiz qadam Lyrics – Shafqat Amanat Ali & Fariha Parvez

Aye mere watan Taiz qadam, Taiz qadam ho
Phir Tujh se milain wo qadam jis mein ke Dam ho
Aye mere watan taiz qadam, taiz qadam ho
Phir tujh se milain wo qadam jis mein ke dam ho

Aye mere watan, Aye mere Watan
Aye Pak chaman, Aye Pak chaman

Aye mere watan taiz qadam, taiz qadam ho
Phir tujh se milain wo qadam jis mein ke dam ho

jaana hai hamain waqt ki Raftaar se aage
sooraj ki kiran ham se na pehle kabhi jaage
quwwat ke, akhuwwat ke jo mazboot hon dhaage
toote na kabhi azm, na himmat kabhi kam ho
phir tujh se milaey wo qadam jis mein ke dam ho

aey mere watan, aey mere watan
aey paak chaman, aey paak chaman

aey mere watan taiz qadam, taiz qadam ho
phir tujh se milaey wo qadam jis mein ke dam ho

Har haath mein ek shama ho, aur woh na madham
Din raat safar jaari-o-saari rahe peham
Har fard ko ho zaat se yeh mulk muqaddam
Mitti jo kabhi maange dil-o-jaan to baham ho
Phir tujh se milaey wo qadam jis mein ke dam ho

Aye mere watan, aey mere watan
Aye paak chaman, aey paak chaman

Aye mere watan taiz qadam, taiz qadam ho
Phir tujh se milain wo qadam jis mein ke dam ho

Har Ahl-e-Watan chaahe woh duniya mein kaheen ho
Millat ki woh Izzat ka, Hamiyyat ka Amee’n ho
Allah pe, Nabi pe usey imaan-o-yaqee’n ho
is Mulk-e-Khuda daad pe Maula ka Karam
phir tujh se milaey wo qadam jis mein ke dam ho

Aye Mere watan, Aye Mere watan
Aye Paak chaman,Aye Paak chaman

Aye mere watan taiz qadam, taiz qadam ho
Phir tujh se milayen wo qadam jis mein ke dam ho

Aye mere watan Taiz qadam Details – Shafqat Amanat Ali & Fariha Parvez

Singer : Shafqat Amanat Ali & Fariha Parvez
Lyricis : Riaz Ur Rehman Saghir
Composer: Mian Yousaf Salah Uddin
Release : 2008 ( PTV Islamabad )