Ghairat e Mustafa (saww) Bai Rida Aa Gai
Bint e Sher e Khuda (as) Bai Rida Aa Gai
Mazloom e Karbala (as) Ki Azadar Aa Gai
Zainab (sa) Barehna Sar Jo Bazaar Aa Gai
Talwar Kay Bagair Larungi Main Aesi Jang
Khutbay Parhungi Aesay Kay Dushman Bhi Hongain Tang
Daikho Hussain (as) Tum Bhi Hamaray Jihad Ko
Zainab (sa) Hai Aj Ban Kay Alamdar Aa Gai
Zainab (sa) Nay Zindagi Main Na Daikhi Koi Kushi
Roti Huwi Woh Sham Ki Rahon Main Mar Gai
Tanha Lahad Main Bhai Ko Rone Kay Waste
Sarkar Panjetan Ki Woh GhamKhaar Aa Gai
Jis Dum Utha Yeh Shor Kay Pyase Ko Mar Lo
Jaldi Karo Nabi (saww) Kay Nawasay Ko Mar Lo
Sun Kar Yeh Shor Dhundti Tanha Hussain Ko
Maqtal Main Bint e Haider e Karar (as) Aa Gai
Chehlum Ko Karbala Main Jo Pohancha Tha Qafla
Zainab (sa) Nay Keh Kay Nakai Say Khud Ko Giraya Tha
Badle Chuka Kay Baba Kay Saray Mairay Hussain (as)
Chehlum Mananay Apki Zawaar Aa Gai
Mehshar Kay Roz Ayegi Jab Naib e Batool
Tanweer Yeh Kahain Gay Khuda Say Mairay Rasool
Zinda Rakhai Hain Jis Nay Irade Hussain (as) Kay
Ya Rab Woh Mairay Dee’n Ki Madadgaar Aa gai