Bazaar Aa Raha Hay Lyrics – Shahid Baltistani – Noha 2020/1442

      Haey Sajjad,

Haey Haey Bazar
Bimar Mar Na Jaye Bazar Arha Hay
Ummat Hijaab May Hay
Sydani Be Rida Hay
Sajjad Kay Badan Ka Har Zakhm Ro Raha Hay
Kofey Ki Shahzadi Kofey May Bey Rida Hay
Sadaat E Fatima Per Kiya Wakt Agaya Hay
Zahra Ki Betiyun Kay Chine Gaye Hain Parday
Ab Chadron Kay Badlay Koi Kafan Urah Day
Abid Janazey Ly Ker Bazar May Khara Hay
Haathon May Sham Walay Pathar Liye Huey Hain
Ek Jashn Ka Sama Hay Roshan Diye Huey Hain
Dil Bhujtey Jaa Rhy Hain Yeh Shaam Ki Hawa Hay
Bardasht Is Sitam Ko Koi Karega Kese
Betey Kay Aagay Khaey Ek Baap Taziyane
Baqir Ka Emtehan To Sajjad Say Bara Hay
Jari Laho Hay Sir Say Kiya Wakt E Bekasi Hay
Nezay Pey Sheh Kay Sir Ko Hasrat Say Dekhti Hay
Zainab Ko Rastey May Pathrr Jahan Laga Hay
Haey..!
Maqtal May Tera Zarbey Shabbir Per Chali Hay
Na Mehramo Ki Nazren Zainab Pey Parh Rahi Hay
Charo Taraf Sat Khanjar Bibi Pey Chal Raha Hay
Yeh Qafila Haram Ka Zindaan Tak Agaya Hay
Suraj Yeh Badlon May Chup Chup Ky Pochta Hay
Bey Jurm Qaidiyun Ko Saya Kaha  Mila Hay
Shabbir Ki Sakina Bazar Say Hay Guzri
Itney Lagey Hain Pather Pehlu Hua Hay Zakhmi
Pehchanna Hay Mushkil Wo Haal Hogaya Hay
Haey Roye Hain Khoon Takallum 40 Saal Maula
Saansey Bhi Chal Rahi Thi Lekin Nahi Thy Zinda
Sajjad Ka To Maqtal Darbar Shaam Ka Hay