Bebadan sar roo rahe hein be rida sar dekh kar (x2)
Hus raha hai shaam ka lashker ye manzer dekh
kar
Bebadan sar roo rahe hein be Rida sar dekh kar
Dekhta kaise wo Ghurbat sahib e tatheer ki
Ae jab naize pe chadar Zainab(S.A) e Dilgir ki
Gir gaya naize se sar ghaziع ka chadar dekh kar
Parh na jae be rida zainab (S.A) pe abidع ki nazar
Is qadar tha ghum zada dil me ye manzar soch kar
Sham tak chalta raha Abidع zamee(n) par dekh kar
Ek rasan me qaid the zehra(S.A) ka sari betiyan
Khoon k ansoo howe Abidع ki ankhoon se rawaa
Sham waloon ko liye hathoon me pathar dekh kar
(Hayeee)
Marta jata hai bachi ko tamache ik laeeen
Pochta hai Aey Sakina(S.A) aj kyu roti nahe
Zulm sab wo seh rahi hai baap ka sar dekh kar
Kat chuki hein sheh ragen par rabta katta nahe
Hein jahan Abbasس hein shabbir ki nazren wahen
Ro raha naize pe Asgherع ko Akberع dekh kar
Jane Zinda is ghari sajjadس kaise reh gae
Mangta tha koi Bibiس ko kanizy kay liye
Aur Zainab(SA) roti the Abbasس ka sar dekh kar
Taiz naqe kay sabab jo rah me bache giray
Paun oontoon kay pare or dafan wo hote gae
Kanp uthe naize pe is manzar ko Asgherس dekh kar
Joan or zeeshan haye Ghurbat e binte Aliس
Karbala k bad zainab(SA) sham tak roe na the
Roo pari shereen ka wo ata hua ghar dekh kar
Bebadan sar ro rahe hein be rida sar dekh kar
Haye sadaat haye shaaam (x2)