HAYE ZEHRA, HAYE MAZLOOM HUSSAIN
BETE PE APNE YOUN NA KOI MAA BUKA KARE
JAISE BUKA HUSSAIN PE MAA FATIMA KARE
JAISE BA WAQT ASR YE ZEHRA NE DI SADAA
PIYASA HAI TEEN ROZ KA KHANJAR NAHI CHALA
AISE NA MAA KABHI BHI KOI ILTIJAA KARE
JAB FATIMA KE LAAL KA SAR TAN SE KAT GYAA
ISKE SIWA TO KOI BHI CHARA NAHI RAHA
CHEHRE PE KHOON MAL KE AZAA SYEDA KARE
ISKO KAFAN MILENA MILE BAS ABHI ISSE
MITTI URAA KE DASHT SE FILHAAL DHANK DE
GAR KAAM KAR SAKE TO MERA YE HAWA KARE
TEERO PE APNE LAAL KO MAQTAL ME DEKHNA
HAATHO SE DIL KE CHAIN KE TUKRE SAMETNA
ZEHRA KA HOSLA HAI KOI OR KIAA KARE
LASHA KISI KE LAAL KA BEHAAL YOUN NA HO
JAISE HUA HUSSAIN KA PAMAAL YOUN NA HO
AISA SITAM SAHE NAA KOI MAA KHUDA KARE
AZAA SIMAT KE ISKE BAS IK BAAR TAN BANE
SEENE SE ME LAGAOUN INHE OR YE MAA KAHE
YE BAIN NA KISI KI KABHI MAAMTA KARE
BETE KE SAATH DASHT ME MAA KHOON ME HAI TARR
GHAZI KI LAASH PAR KABHI, AKBAR KI LAASH PAR
JASIE GIRI BATOOL KOI NAA GIRAA KARE
YASIR KHARI HAIN AAJ BHI MAQTAL ME FATIMA
EHLE AZAA SE AAJ BHI KARTI HAIN ILTIJAA
KOI TO MERE LAAL KA PURSA ADAA KARE