Haye beti Ali ki
Reh gayi beti Ali ki gham uthane ke liye
Zakhm khane ke liye,ansu bahane ke liye
Waris e tatheer be parda khari hai dasht mai
Aik chadar bhi nahi hai sar chupane ke liye
Layi thi do phool apni godh mai umm e rabab
Aik maqtal ke liye ik qaid ke liye
Dhundne nikle Hain aada pusht khaima ki taraf
Lash e be sheer naize per uthane ke liye
Nok e naiza per utha ker shaam ke bazaar mai
shimer lehrata tha chadar dil dhukane ke liye
Aate jate jis ko dekho,zulm kerta hai shadeed
Pusht e Abid reh gayi hai taziyane ke liye
Baarha Zainab hai guzri shaam ke bazaar mai
syed e Sajjad ko zinda bachane ke liye
Rote rote jarahi hai bachi suy e alqama
Neel ruksaron ke ghazi ko dhikane ke liye
Gir ke Akber ne sada di jab tu Zainab ne kaha
Bhai mai bhi chal rahi hun laash uthane ke liye
Mangne aya hai bachi ko kaneezi mai laeen
Ab to ajao mere ghazi bachane k liye
Tartarha ker reh gayi qabr e Nabi yasir raza
Ayi jab rudad e gham zainab sunane ke liye