Hujray main yeh Akbar kay buka kerti thi khuawar
Bhaiya Ali Akbar Bhaiya Ali Akbar
Kya bhool gayay ho humain Pardes main jaker
Bhaiya Ali Akbar Bhaiya Ali Akbar
Tum jab sa gayay chor k nana ka madina
Haye Shehr yeh soona
janay sa tere ho gaya veeran main ghar
Bhaiya Ali Akbar Bhaiya Ali Akbar
Bhaiya tere furkat main na jee payay gi sughra
mar jayay gi sughra
Sughra ki kasam hai watan ajao palat ker
Bhaiya Ali Akbar Bhaiya Ali Akbar
Bhaiya tere mathay pa behan dekhlay sehra
armaan hai mera
her pal main issi soch main rehti hon barader
Bhaiya Ali Akbar Bhaiya Ali Akbar
Dam mera ukharta hai na khulti hein ye ankhain
rukh jaiyan na saansain
lainay mujhay ajaiyay aey baba k dilbar
Bhaiya Ali Akbar Bhaiya Ali Akbar
Bhaiya mera Asghar woh mera nazoon ka pala
tha ghar ka ujala
ata mujha yaad to roti hon tadap ker
Bhaiya Ali Akbar Bhaiya Ali Akbar
lanay ko mujha aao gay kab itna batado
wadah yeh nibha do
takti hai tere rasta tanha tere khuwahar
Bhaiya Ali Akbar Bhaiya Ali Akbar
Is ghum main Abiha mera dil phat ta hai ro ker
kaisa tha woh manzar
tha waqt e naza bhi yehi sughra k laboon per
Bhaiya Ali Akbar Bhaiya Ali Akbar