Seene Mein Sina Khaaye
Jo Run mein Tarapta Hai
Do Maon ka Paala hai
Hai Naam Ali Akbar
Shabbir ka Beta hai
Do Maon ka Paala hai
Tasweer e Muhammad Per ye Kaisi Musibat Hai
Chehre se Ayan Iske Takleef ki Shiddat hai
Wo Jiske Kaleje mein Toota Hua Neza Hai
Do Maon ka Paala hai
Afsos Main Sughra ko Lene Nahi Jaa Paaya
Sharminda Hai Ye Bhai Wada Na Nibha Paya
Yaad Aati Hai Sughra ki Is Baat pe Rota hai
Do Maon ka Paala hai
Ye Zakhm mere Baba kis Tarhan se dekhenge
Chup jaye kisi Tarhan Baba ki Nigahon se
Jo Zakhm Kaleje ka Hathon se Chupata hai
Do Maon ka Paala hai
Ye Chain Hai Dono Ka ye jaan Hai Dono ki
Akbar se Juda Ho kar Marjaingi Dono Hi
Maa Aik hai Zainab to Maa Dusri Laila Hai
Do Maon ka Paala hai
Akbar Pe Jawani Mein Ye Kisne Sitam Dhaya
Bas Dard ki Shiddat ne Akbar ko hai Tarpaya
Wo Khak Kay Bister pe Jo Paon Ragarrta Hai
Do Maon ka Paala hai
Akbar Kay Qareeb Aaye Is tarhan Shah e Wala
Aik Hath Kamar per Tha Aik Hath Jigar Per tha
Baba ki Musibat ko Jo Dekh Na Paayaa Hai
Do Maon ka Paala hai
Sarwar ne Kaha Is Per Kyun Zulm hua Haaye
Kia Umr ye Marne ki Hai koi to Batlaaye
Beta ye abhi Mera Atthara Baras ka Hai
Do Maon ka Paala hai
Zeeshan Jawan Lasha Jab Shah ne Uthaya tha
Rote Hue Zehra ne Sarwar ko Sambhala tha
Shabbir Kay Kandhe per Khemo mein Jo Aaya hai
Do Maon ka Paala hai