Khushnaseebi Lyrics – Chen-K & Sunny Khan Durrani | New Song 2020

Khushnaseebi Lyrics – Chen-K & Sunny Khan Durrani: Presenting the lyrics of the song “Khushnaseebi” sung by Chen-K & Sunny Khan Durrani.

Khushnaseebi Lyrics - Chen-K & Sunny Khan Durrani
Khushnaseebi Lyrics – Chen-K & Sunny Khan Durrani

Khushnaseebi Song Details:
Song: Khushnaseebi Lyrics
Singer: Chen-K & Sunny Khan Durrani

Khushnaseebi Lyrics:

 

Ab jab ye jaanay mere naam ko aur chaanay mere kaam ko
Lagay in sab ko jese yahan pohunchna mazaaq ho
Ab aate jaate miltay kehtay aap khushnaseeb ho
Kabhi tatolo jaibain kabhi chaano is ghareeb ko

Qallam ke taraazu aese hotay ni pakkay
Rakho maazi ko tum maiz pe dunya ke khaalo dhakkay
Betha Teen So Athaes meel dur apne ghar se,
Khwaab daraate utha neend se me dar ke

Ghar ki kheriyat leta dil ko sakoon nahi
Aur tum sab ko lagta ye qismat hai wahh bhai
Han bhai, Laga sab ko chamkaane me
Betha me chiraagh talay chup, sirhaanay pe

Roshni se khof na par shor ka bhi shoq na
Tum sab madaari naacho dur me is melay se
Rappers ke jhund chalay rukh me hawaa ke par
ziddi parinda me urtaa akelay me

Mun pe lagaa ke taalay paalun na toofaan me
Wo bachtay hawaa se rakhun aafat zubaan pe
Kar lo Tamaashay mujhpe kass lo awaazain
par uthnay janaazay jab banda ye thaan lay

Chal tu maan le ke Khabbarnaama Flop thi
Keh de tu sab ko ke Sunny Hip-Hop nahi
Rap pe ab naachna hai in sab nachoron ko
Na Khush kyunke mere gaano me drop nahi

Kaamyaab nahi kyunke mujh me faraib nai
Batain wohi karun jo shurfaa ko deti zaib nai
samajh lo ke faateh hone ki koi tarkeeb nai
Lakeeron ko cheera mujhe kehna khushnaseeb nahi..

Yeh loag bolen khushnaseeb tu
Yeh loag bolen khushnaseeb tu

Yeh loag bolen khushnaseeb tu
Yeh loag bolen khushnaseeb tu

Kya hum loag mehnat nahi karte kya?
Kya hum loag mehnat nahi karte kya?

Hasad na kar hum se seekh bhi..
Ke mehnat ka aks bus
“KHUSHNASEEBI”

Meethi si zabaan in logon ki.. Per
Aankhon me hasad in kamzoron ki.. Dar
Me zabaan se den yeh naseehaten.. Per
Aankhen inki zor se cheekhen ke..

Ladka yeh kitna khushnaseeb sa
ise kyun de maza her cheez ka?
Badtameez sa iske baawajood bhi..
kyun iski maujoodgi se khush haseena..

Haseenaaen ispe kyun jaan den
Paseena aae kya pareshan main?
Dehaan her insaan ka ispe..
Haraam khada hona bhaee iske saath me!

Nahi… Ise neecha dikhana hoga
Doston me apnon me zaleel main karoonga
Dhoondunga kamzoriyan, sukoon cheenloonga
Ooncha jaane doonga nahi neeche kheechoonga.

Laga tu poora zor, aghaaz kar
Hifaazat kare meri dua janamaaz per
Tu draamebaaz kutte ki tarah bhaunk peeth peeche
Sher ki tarah main dhaarun jese jihaad per.

Taizaab mere thook me tu gal jaega
Qalam mera bhook me tu marjaega
Bad dua ke bajaae mujhe de dua
Jaa!! apni khushnaseebion ka dhoond kuan.

Wo oonch neech wo.. wo gurbatt
Jab bhi mile mujhe koi dukh dardd.
Main tou shukar guzaar dua karun sabar de
Yeh mushkilen khushnaseebi asal me.

Theek se sun likhta nahi angrezi me
Mushkilen badnaseebi ke bhes me
Tez si churiyaan dil tak khupin
Khushnaseebi ke bhes me mehnat chupi.. Tabhi..

Yeh loag bolen khushnaseeb tu
Yeh loag bolen khushnaseeb tu

Yeh loag bolen khushnaseeb tu
Yeh loag bolen khushnaseeb tu

Kya hum loag mehnat nahi karte kya?
Kya hum loag mehnat nahi karte kya?

Hasad na kar hum se seekh bhi..
Ke mehnat ka aks bus
“KHUSHNASEEBI”

https://youtu.be/StUQNVCD560