Haye Ali Akbar (as) …4
Roti hai zameene karbobala
Kya dard bhara hai yeh manjar
Athara baras ka beta hai
Ek bhudhe baap ke hatoon par
Hai baap ke hatoon par
Lasha Ali Akbar (as) ka…2
Maa dekh nhi payi
Shehra Ali Akbar(as) ka
Hai baap ke hatoon par
Lasha Ali Akbar (as) ka
Haye Ali Akbar ….4
Baba ki musibat ko
Akbar bhi samajh pate ..2
Duniya me agar hota
Beta Ali Akbar(as) ka
Hai baap ke hatoon par
Lasha Ali Akbar (as) ka…..2
Shabbir yeh khete the
Ta marg na bhulunga ….2
Abbas ke do bazu
Sina Ali Akbar(as) ka
Hai baap ke hatoon par
Lasha Ali Akbar(as) ka
Haye Ali Akbar (as) …..4
Shabbir se kheti thi
hamshir yahi aksar…2
Yeh Aun o Muhammed hai
Sadqa Ali Akbar(as) ka
Hai baap ke hatoon par
Lasha Ali Akbar (as) ka …..2
Laila se koi khede
Wapis nhi aayega….2
Ab dekh le ji bhar ke
Chehra Ali Akbar (as) ka
Hai baap le hatoon par
Lasha Ali Akbar (as)
Haye Ali Akbar (as) ….4
Khat koi nhi bheja
Na laut ke ghar aaye ..2
Taqti hi rhi rasta
Sughra Ali Akbar (as) ka
Hai baap ke hatoon par
Lasha Ali Akbar (as) ka…2
Shabbir ka jeena hai
Shabbir ka marna hai…2
Jeena Ali Akbar (as) ka
Marna Ali Akbar (as) ka
Hai baap ke hatoon par
Lasha Ali Akbar (as) ka
Haye Ali Akbar (as) ….4
Is chand ke sine me
Paiwast hui bharchi …2
Padhti thi yahi nauha
Fizza Ali Akbar (as) ka
Hai baap ke hatoon par
Lasha Ali Akbar (as) ka …2
Hai Mazhar o Mesum ki
Akhon se lahu Jari ….2
Asan nhi padhna
Nauha Ali Akbar (as) ka
Hai baap ke hatoon par
Lasha Ali Akbar (as) ka ….2
Haye Ali Akbar (as) ….4