Le Jaa Kahin Door Khuda Lyrics Sung by Rcr aka Rohit back again with his new rap Le Jaa Kahin Door Khuda in MTV Hustle next performance and this is also a hit performance by Rcr. In this rap Rcr raise a main problem of our country and which is Religious distinction. Rcr very nicely tell everyone by his rap what it’s effects on our country’s unity.
Song: Le Jaa Kahin Door Khuda Lyrics
Singer: RCR aka Rohit
Label: MTV Hustle
Le Jaa Kahin Door Khuda Lyrics:
Pata hai
Is duniya se pare
Ek aur duniya hai
Jaha sab kuch thehera hua hai
Bas waha jaane ko dil karta hai
Aayi andar se aawaz kahi aur hai tera ghar
Sach jhooth se pare jaha maut ka na darr
Noor ki chaddar mein so rahi roohein
Jahan seene se laga ke maula choomta hai sar
Ab wo bhi pareshan dekh duniya ke halaat
Mazhab baanta rab baanta baanti jaat paat
Ro raha dekh behti khoon ki nadiyan
Ke kaise insaan, insaan ko raha kaat
Kya maar ke kisi ko aaj tak rab dikha hai
Kya wo bhi teri tarah chand paison pe bika hai
The god is love, love is god Christ ne kaha tha
Jin prem kiyo tin hi prabh paayo baani mein likha tha
Phir kyun dharmo ko leke nafarat ke beej bo rahe hai
Hindu musalman kattarata ki maiyat pe so rahe hai
Guruon peeron ne hume ladna nahi sikhaya
Phir kyun sabse jyada dharmon pe hi katl-e-aam ho rahe hai
Band karo nautanki khud ko dharmik batane ki
Saadhuon ka chola aarat jismon ko khane ki
Pehna sir se paon tak jhooth ka libaas
Aur baatein karta hai tu sachche rab ko paane ki
Le jaa kahin door khuda
Karde mujhko mujhse juda
Tadpoon tadpe meri rooh
Toot chuka nahi milta tu
Le jaa kahin door khuda
Karde mujhko mujhse juda
Tadpoon tadpe meri rooh
Toot chuka nahi milta tu
Qayamat ke din sabka lekha dekha jaayega
Tere kaale karmo ka phal
Tujhe nark mein phenka jaayega
Zubaan teri kheech lenge chamdi udhedi jaayengi
Aag ki lapto me tera jism seka jaayega
Keh doon baatein hai dil mein rehti behti meri
Do pyaasi ye aankhein hai kyun ?
Cheekh cheekh thaka haara main
Kaano mein renge na inke zara si joon
Ru-ba-ru hona main chaahun
Tere darr pe khona main chaahun
Na lage dil qafir hai duniya
Maut ki sej mein sona main chaahun
Ye baat
Un bachchon ki hai..
Jinhone har ek terrorist attack mein
Apne maa baap ko kho diya
Mari hui maa ka dhoodh peete peete so chuke hai
Khoon nikle aankhon se iss hadd tak ro chuke hai
Kya reh gaya un bachchon ka bachpan
Abhi chalna bhi na seekha aur anaath ho chuke hai
Jaan le li jaati hai yaha jisne pyaar kiya
Padha itihaas toh maine aitbaar kiya
Heer ranjha sassi pannu koi na bacha
Insaan toh kya logon ne isalah ko bhi maar diya
Le jaa kahin door khuda
Karde mujhko mujhse juda
Tadpoon tadpe meri rooh
Toot chuka nahi milta tu
Le jaa kahin door khuda
Karde mujhko mujhse juda
Tadpoon tadpe meri rooh
Toot chuka nahi milta tu..