Matami Ke Hath Lyrics – Ahmed Raza Nasiri – Noha 2020 Muharram 1442

       MATAMDAARO AYE AZADAARO SALAMAT RAHO

YE MATAMI KE HATH HAIN 
YE MATAMI KE HATH
 
YE MATAMI KE HATH HAIN YE MATAMI KE HATH
JO THI DUA BATOOL KI YE HAIN USSI KE HATH
HAIN ZINDAGI KE HATH YAHI BANDAGI KE HATH
MUKHTAR IS TARHA SE NAHI HAR KISI KE HATH
CHAHAIN TO YE QAZA KI BHI GARDAN DABOOCH LAIN
JAB JEE KARAIN YAZEED KE CHEHRE KO NOOCH LAIN
 
 YE MATAMI KE HATH HAIN 
YE MATAMI KE HATH
 
JANNAT TARASHNE KA HUNAR JANTE HAIN YE
WALIYO KA KAAM HAI YE MAGAR JAANTE HAIN YE
HOTA HAI ZEIR KAISE ZABAR JAANTE HAIN
KHULTA HAI KAISE GAIB KA DAR JANTE HAIN YE
AATE HAIN EK PAL ME ZAMANO ME GHOOM KAR
ABBAS KE ALAM KE PHARERE KO CHOOM KAR
 
YE MATAMI KE HATH HAIN 
YE MATAMI KE HATH
 
TAKBEER ME UTHE TO FALAK CHOO KE AAGAE
JHUK KAR RUKO ME APNA MUQADAR BANA GAE
SAJDE ME JAB GAYE TO YE MASJOOD PAA GAE 
PHIR USKE BAAD SAARE ZAMANE PE CHAA GAE
BAADE NAMAZ BARH GAYE TAQDEER KI TARAF
UNGLI UTHA KE ROZA E SHABBIR KI TARAF
 
YE MATAMI KE HATH HAIN 
YE MATAMI KE HATH
 
SAMJHO NA AAM INKO BOHOT KHAAS HAIN YE HATH 
HAATHO KI KAINAAT KA QIRTAAS HAIN YE HATH
QURAN E GHAM KI SOORA E IKHLAAS HAIN YE HATH
KARBOBALA NAJAF KE BOHOT PAAS HAIN YE HATH
JAB WASTE MADAD KE ALI KO PUKAAR LAIN
YE HATH AASMAAN SE TAARE UTAAR LAIN
 
YE MATAMI KE HATH HAIN 
YE MATAMI KE HATH
 
YE AMBIYAA KE HATH HAIN RAAZE SAMAD YE HAIN
HAI OLIYAA KE HATH KHUDA KI MADAD YE HAIN
LABBAIK YA HUSSAIN KI AALA SANAD YE HAIN
BAATIL KE LIE AAJ BHI HUR BANKE RAD YE HAIN
HAQ HAI YAHI KE HAQ KE YAHI TARJUMAAN HAIN
YE MATAME HUSSAIN KI JAARI AZAAN HAIN
 
YE MATAMI KE HATH HAIN 
YE MATAMI KE HATH
 
HAI ABDIYAT KE HATH IBADAT ME SARGARAM
MAZLOOM KE LIE HAI HIMAYAT ME SARGARAM
HAI DEEN KE DIFAA ME SHARIYAT ME SARGARAM
SADIYO SE HATH HAIN YE MURAWWAT ME SARGARAM
KEH DAIN AGAR IMAM E ZAMAN RUKH KO MORR DAIN
YE DUSHMAN E BATOOL KE HATHO KO TORR DAIN
 
YE MATAMI KE HATH HAIN 
YE MATAMI KE HATH
 
YASIR WO ROZ AAEGA SHAH E ZAMAN KE SATH
HUNGE ZOROR WARIS E TISHNA DAHAN KE SATH
KARBOBALA KE SHAM KE RANJO MAHAN KE SATH
HUNGE HAMARE HATH BHI HAR SEENA ZAN KE SATH
KHILQAT KA HAQ KARAINGE ADAA GHAM KARAINGE YE
KAABE ME BHI HUSSAIN KA MATAM KARAINGE YE 
 
YE MATAMI KE HATH HAIN 
YE MATAMI KE HATH