Meri Kahani Suno Lyrics – Shahid Baltistani – Noha 2020/1442

Meri Kahani Sono

Baba Jaan
Baba Jaan
Meri Kahani Suno, Baba Tumhari Sakina Hun Main
Baba Kasam Kha Kay Kehti Rahi
Karta Nahi Tha Yaqeen Yeh Koi
Ab Tum Hi De Di Gawahi Meri X2
In Shamiyun Say Kaho
Ashoor Tak Yeh Zaifi Na Thi
Balon May Mere Safeedi Na Thi
Tum Jab Gaye Thy Main Aesi Na Thi
Lehjay Say Pehchan Lo
Aray Kehta Tha Zalim Satao Aese
Durey Tamachey Lagao Isay
Neza Dikha Kay Darao Isay
Maloom Tha Shimr Ko
Baghi Ki Beti Samjh Kar Mujhe
Bachon Nay Marey Hain Pathar Mujhe
Rehna Nahi Ab Yahan Per Mujhe
Bus Karbala Lay Chalo
Zid Ki Thi Bachpan May Jab Aap Nay
Aye Thay Malboos Firdoos Sy
Aaj Apni Maadar Say Mere Liye
Mera Kafan Mang Lo
Zindan Ka Naqshah Badal Jayega
Kuch Dair May Dum Nikal Jayega
Dil Jatey Jatey Behal Jayega
Sughra Ki Baten Kro
Mujh Ko Tamacha Hi Aesa Laga
Nazron May Meri Andhera Hua
Meri Kamar May Bhi Kham Agaya
Daagh E Rasan Dekh Lo
Sir Apne Baba Kay Sir Per Rakhey
Boli Takallum Wo Rotey Huey
Sab Marne Per Tulay Hain Mujhe
Tum Kehdo Jeeti Raho