Mujhe pay kyun band karte ho paani Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Lyrics – Ali Shanawar & Ali Jee

Mujhe pay kyun band karte ho paani

Ya Hussain x3
Mera nana Nabi, meri maa Sayyada
Mera baba Ali, mera bhai Hasan
Hum hi hein Panjatan
Meri kya he khata, mujhpe kyun band karte ho pani
Kiya Muhammad ka pyara nahin hun
Kya mein Zahra ka jaya nahin hun x3
Kya Nabi ka nawasa nahin hun

Mere nana ne kalma sikhaya
Aur quran tumko sunaya x2
Kya ma nana ka saaya nahin hun x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun

Who madina jahaan mera ghar he
Aur masjid mein us ghar ka dar he x2
Kya mein us ghar mein khela nahin hun x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun

Chakkiya pees kar maan ne paala
Mujhko nana ne jhula jhulaya x2
Apna bachpan mein bhula nahin hun x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun

4. Kamli wale ke lab chumta tha
Kitna pyara mera bachpana tha x2
Kya mein unka dulhara nahin hun x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun

Mein jo paani kabhi maangta tha
Kyun tarapti thi maa ab mein samjha x2
Paas asghar ke jaata nahin hun x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun

Mein jo chahun baras jaaein badal
Khun mein duba nazar aaye maqtal x2
Jang karne mein aya nahin hun x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun

Ik sada thi ye Rehaan-o-Sarwar
Kehrahe the Hussain ibne haider x2
Kya mein mehman aaya nahin hun x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
Kya mein zahra ka jaya nahin hun x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun