Short Sufi Spells Presents NAMI DANAM Sung by Muhammad Samie and Nami Danam lyrics penned by Muhammad Samie. The Nami Danam compose by Muhammad Samie and poetry by Bu Ali Shah Qalandar, Allama Iqbal, Meer Taqi Meer, Mirza Ghalib, Bedam Shah Warsi, Baba Zaheen Shah, Qamar Jalalvi, Qateel Shifai, Seemab Akbarabadi, Muhammad Samie.
Sufi Song: Nami Danam Lyrics
Singer: Muhammad Samie
Composer: Muhammad Samie
Lyrics: Muhammad Samie
Poets: Bu Ali Shah Qalandar, Allama Iqbal, Meer Taqi Meer, Mirza Ghalib, Bedam Shah Warsi, Baba Zaheen Shah, Qamar Jalalvi, Qateel Shifai, Seemab Akbarabadi, Muhammad Samie.
Nami Danam Lyrics:
Manam mehv-e-jamal-e-oo nami danam kuja raftam
I am lost in the beauty of my beloved, I do not know where I am going
Shudam ghark-e-wisaal-e-oo Nami danam kuja raftam
I find myself drowned in the moment of meeting my beloved, I do not know where I am going
Nami Danam Nami Danam [Chorus]
I do not know … I do not know
Na tha kuch to Khuda tha kuch na hota to Khuda hota
Duboya mujh ko hone ne na main hota to kya hota
Nami Danam Nami Danam [Chorus]
I do not know … I do not know
Uthi jis simt bhi nazren tujhi ko jalwa-gar dekha
Tu hi har ik nazaray mein tujhi ko chaar su dekha
Kisay Ka’aba banaen kis ko sang-e-aastan kar len
Kashakash mein hain deewane tera sajda kahan kar len
Nami Danam Nami Danam [Chorus]
I do not know … I do not know
Kaheen unvaan badla hai, kaheen tarz-e-bayaan badla
Azal se ta-abad afsana-e-hasti kahan badla
Badalne ko hazaaron karvaten badleen zamane ne
Magar meri jabeen badlee na tera astaan badla
Ye faizan-e-nazar tha ya keh maktab ki karamat thi
Sikhaaye kis ne Ismail (A.S.) ko adaab-e-farzandi
Tere azaad bandon ki na yeh duniya na woh duniya
Yahaan marne ki pabandi wahan jeene ki pabandi
Khuda ay kaash ham ko ḳhaak hi rakhta keh phir hum bhi
Ghubar-e-raah hote ya kisi ki ḳhaak-e-pa hote
Sarapa aarzu hone ne banda kar diya ham ko
Vagarna hum Khuda thay gar dil-e-be-mudda’a hote
Nami Danam Nami Danam [Chorus]
I do not know … I do not know
Kahaan insaan kahaan aql-o-ḳhirad ki bediyan taoba
Zara bhi aql ho to aadmi divana ho jae
Sahar tak sab ka hai anjam jal kar raakh ho jana
Bane mehfil mein koi sham’a ya parvana ho jae
Nami Danam Nami Danam [Chorus]
I do not know … I do not know
Ye aalam dekh kar tu ne bhi ankhen pher leen varna
Koi gardish nahin thi gardish-e-ayyam se pehle
Yahi dastoor-e-duniya hai yahi rasm-e-mohabbat hai
Keh sab apne hi hote hain kathin ayyam se pehle
Nami Danam Nami Danam [Chorus]
I do not know … I do not know
Ye kis ne shaaḳh-e-gul la kar qareeb-e-ashiyan rakh di
Keh main ne shauq-e-gul-bosi main kanton par zaban rakh di
Karen ge shikwa-e-zulm-o-sitam dil khol kar apna
Keh woh maidan-e-mehshar hai na ghar un ka na ghar apna
Nami Danam Nami Danam [Chorus]
I do not know … I do not know
Fazeelat hai Ye Aaqa (S.A.W.W.) ki wahan un ki rasaai hai
Farishtay kya fariston ke jahan saaye nahi jaate
Muhammad (S.A.W.W.) raaz-e-wahdat hain koi ramz un ki kya jaane
Shariyat mein to banda hain haqeeqat main Khuda jaane
Nami Danam Nami Danam [Chorus]
I do not know … I do not know
Ghulam-e-roo-e-oo boodam aseer-e-boo-e-oo boodam
I am the slave of that (my beloved’s) face, I am the prisoner of that (my beloved’s) fragrance
Gubaar-e-koo-e-oo boodam nami danam kuja raftam
I am the swirling dust of my beloved’s street, I do not know where I am going