Roti aankhoon se ye sab dekh rahe hai Zehraس
Kalma go bethen hein (x2)
Khamoosh khari hai Zehraس
Mujhpe kia guzri qayamat ki ghari bhe dekhen
Mere baloon me mere baba safeedi dekhen
Jhuk gae meri kamar or Zaefi dekhen
Kaise phechanogay baba k yehe hai Zehraس
Ek he peeshi ne ye haal kia hai mera
Kaise guzrega aseeri me safar Zainabس ka
Cheenli jaegi jab sham e ghareeban me rida
Thame chadar ko yehe soch rahe hai Zehraس
Dar jala hogya pehlu bhe shikasta bibiس
Apko mara hai qunfuz ne tamacha Bibiس
Bangya apka maqtal ye madina bibiس
Ap par tooti qayamat ki ghari hai Zehraس
Koi mastoor na mushkil me khudaya ae
Fatimaس dil k sabhe dard kaise batlae
Maa kabhi bete kay hote na tamacha khae
Ghum tere seenay me nezay ki ani hai Zehraس
Hai giraftar Aliع chalti hai Zehraس peechay
Hath pehlu pe rakhe or Larkharate hue
Bain krte hue girti hai rida ko thame
Har qadum sath yon Haiderع kay chali hai Zehraس
Ye tamache ki wirasat to Sakinaس legi
Keel banjaegi Akberع k jigar me barchi
Khum ye sajjadع ko zainabس ko milegi peeshi
Apni aulaad me ghum bant chuki hai Zehraس
Is tarhan Bibiس tera sajda ada hota hai
Zakhm ka khoon musallay pe baha jata hai
Hath har waqt he phelu pe rakha rehta hai
Kaise tasveer masaeb ki bani hai Zehraس
Sabar qasim yon sar e ghaib kia hai usne
Teegh pr soch k hathoon ko rakha hai usne
Kyu nhe badla abhi tera lia hai usne
Tere Mehdiع ko aziyat ye bari hai Zehraس