Hussain.. (4)
Hussaina.. (8)
Mola mere Mola,
Mere Mola.
Bachpan se tumhara main Azaadar hoon Mola,
Ghar Ghar main sada apka Farsh-e-Aza dekha,
Main iss se Juda reh nahi sakta,
Yeh Majlis-o-Matam rahe Mola..(2)
Yeh Dil ki Dua hai.. (2)
Yeh Dil ki Dua Dil ki Dua hai,
Shad rahe Karbala, Abaad rahe Karbala,
Dil ki ye Dua hai Ya Hussain,
Shad rahe Karbala, Abaad rahe Karbala,
Dil ki ye Dua hai Ya Hussain.
Silsila dar Silsila.. (2)
Jari rahe ye sada Hussain.
Shad rahe Karbala, Abaad rahe Karbala,
Dil ki ye Dua hai Ya Hussain.
Badshah Hussain ki saltanat hai Karbala,
Jiska Pasban hai Mola Ghazi Bawafa,
Ap ne Hussain Ba-Khuda,
Khoon se saja di Karbala,
Karbala ki hai Khuda yani yeh rahe Sada,
Dil ki ye Dua hai Ya Hussain.
Shad rahe Karbala, Abaad rahe Karbala,
Dil ki ye Dua hai Ya Hussain.
Silsila dar Silsila.. (2)
Jari rahe ye sada Hussain.
Janaat-e-Maa Karbala Raahat-e-Maa Karbala.. (2)
Mola ne Basa diya aisa Sheher Karbala,
Jiski Khaak bhi Shifa Jiski Janaati Fiza,
Doosri na hogi Karbala,
Hoga na Hussain doosra,
Hoon gey na kabhi Juda ab Hussain-o-Karbala,
Dil ki ye Dua hai Ya Hussain.
Shad rahe Karbala, Abaad rahe Karbala,
Dil ki ye Dua hai Ya Hussain.
Silsila dar Silsila.. (2)
Jari rahe ye sada Hussain.
Shad rahe Karbala, Abaad rahe Karbala,
Dil ki ye Dua hai Ya Hussain.
Dharkanoun main Ba-Khuda Goonjti hai Karbala,
Har sada main Ja Baja bolti hai Karbala,
Kehta hai Zamana Ya Hussain,
Ya Hussain Hussain Hussain Hussain,
Gham tumhara ho sada Aye Shahed-e-Karbala,
Dil ki ye Dua hai Ya Hussain.
Shad rahe Karbala, Abaad rahe Karbala,
Dil ki ye Dua hai Ya Hussain.
Silsila dar Silsila.. (2)
Jari rahe ye sada Hussain
Janaat-e-Maa Karbala Raahat-e-Maa Karbala.. (2)
Hum ko waledayin ne.. (2)
Hum ko waledayin ne Karbala batayi hai,
Sath le gaye humein Karbala dekhayi hai,
Ziyaratein na Bhool paeingey,
Din humein wo Yaad aeingey,
Hai Khuda se iltija subko Karbala dekha,
Dil ki ye Dua hai Ya Hussain.
Shad rahe Karbala, Abaad rahe Karbala,
Dil ki ye Dua hai Ya Hussain.
Silsila dar Silsila.. (2)
Jari rahe ye sada Hussain.
Shad rahe Karbala, Abaad rahe Karbala,
Dil ki ye Dua hai Ya Hussain.
Zindabad Ya Hussain Ya Hussain Zindabad,
Panjtan k Paanchway Noor-e-Aain Zindabad,
Marhaba Hussain Marhaba,
Apne Kamaal kar diya,
Azmatoun k Badshah apki rahe Ataa,
Dil ki ye Dua hai Ya Hussain.
Shad rahe Karbala, Abaad rahe Karbala,
Dil ki ye Dua hai Ya Hussain.
Silsila dar Silsila.. (2)
Jari rahe ye sada Hussain.
Shad rahe Karbala, Abaad rahe Karbala,
Dil ki ye Dua hai Ya Hussain.
Janat-e-Karbala Raahat-e-Maa Karbala.. (6)
Abaaad rahe Karbala.. (3)
YEH DIL KI DUA HAI