Teri Zehra sa ko zamane ne staya baba
Tere farman ko logon ne bhulaya baba.
Bad tere na diya chen se rehne mjhko
Jo sitam mene sahe kaise sunaon tjhko
Na diya huq bhi mjhe dr bhi giraya baba.
Tere farman ko logon ne bhulaya baba.
Jab Tasawar mai nazar sham e ghariban pe gyi
Jalte khemon se sakina sa ki sada ane lgi
Apna bachpan mjhe rota nazar aya baba.
Tere farman ko logon ne bhulaya baba
Tum ko darbar ki rudaad sunaon kaise
Jese chunta hai koi apne jiger k tukre
Ese Tehreer k tukro ko uthaya baba
Tere farman ko logon ne bhulaya baba
Tha jo jhota ose tasdeeq e sharafat dekr
Mujrim e Fatima zehra sa ko khilafat dekr
Khum ka elan zamane ne bhulaya baba
Tere farman ko logon ne bhulaya baba
Mene darbar mai ghasib k ye manzar dekha
Qatl e Shabbir as pe lut jaegi Zainab sa ki rida
Kr k tehreer k tukre yun rulaya baba
Tere farman ko logon ne bhulaya baba
Fatima Zehra sa Fatima Zehra sa