Shah ki rukhsat ka manzar tha qayamat ka samaa
Ye zameen thara rhi thee ro raha tha asmaan
Jab behan sy wasiyatein sab krchuky hussain as
Zainab sa kay ansu ponch kay khud ro diye hussain as
●itnay thay teer jism par un par rukay rahay
Ghoray ki zeen say na zameen par giray hussain as
●aye bhai jung dekh lou is pyasay bhai ki
Lartay huey ye ghazi as sy kahty rahay hussain as
●kahty thy neend ati hai mujh ko sulaiye
Sar apna maa kay zaanu pay rkhy huey hussain as
●pani kabhi jou peena tou krna mujhay bhi yaad
Ro ro kay binte zehra as say kahny lagay hussain as
●zahra sa ali as sy kahti hain maqtal mei dekhiye
Lashay utha utha kay bht thak gye hussain as
●Abbas aur akbar o qasim nahi rahay
Kis ko madad kay wastay awaaz day hussain as
●sattar qadam thee door behan dekhti rahi
Gardan pay taig chalti thee sajday mei thay hussain as
●dunya nay koshishein tou bht ki nahi mitay
Karbobala mei naqsh jou teray jamay hussain as