Yeh Kahani Phir Sahi Manqabat Lyrics Mir Hasan Mir 2020

Kis ne kab kalma parha-tha, Ye kahani phir sahi
Kon kab maidaan se bhaaga, Ye kahani phir sahi
Fatima ke dar pe taarey ko utar-ta dekh kar
Kis ka kayse utra chehra, Ye kahani phir sahi
Bas ye kaafi he Ali Khaybar ulat kar aa gaye
Kis ne kitna maal loota, Ye kahani phir sahi
Zulfiqar e Haidary se bach gaya tha Amr-e-aas
Haan magar kayse bacha tha, Ye kahani phir sahi
Umr bhar naraaz jis-se Binte Payghambar rahi
Us shaqi ka naam kya tha, Ye kahani phir sahi
Mat karo aapas me jhagra, he ye paigham e Habib
Me huwa tha kayse zinda, Ye kahani phir sahi
Jis asaa ke aasare par Umr bhar Moosa rahe
Us asaa par kya likha tha, Ye kahani phir sahi
Parda e ghaybat se jab bhi aayega mera Imam
Kis ka pehle sar urhega, Ye kahani phir sahi
Uss me ghayron ke nahi, apnon ke bhi naam ayenge
Kon he dushman Ali ka, Ye kahani phir sahi
Kon tha meraj me Sajjad mehv e guftagu
Rehne do parde ka parda, Ye kahani phir sahi