Yeh Nabi Ki Aal Hai Lyrics – Karbalai Brothers – Noha2020/1442

      YEH NABI KI AAL HAI

Ye nabi ki aal hai
Be kasou laachar o muztar ye nabi ki aal hai
Shamiyon marou na pathar ye nabi ki aal hai
jab koi bhi puchta tha kon baagi aye hain
Hans kay kahty thy sitamgar ye nabi ki aal hai
Jis ghari shereen ny pucha kon qaidi hain ye sab
Bolay abid as khoon roo kar ye nabi ki aal hai
kofay walon shahzadi thee tumhari ye kabhi
Phirti hai jou aj dar dar ye nabi ki aal hai
aye musalmano nabi ko kese mun dikhlaogy
Na utaro sar sy chadar ye nabi ki aal hai
isko pe be parda kabhi sooraj ny bhi dekha nhi
Aj gairon mei khulay sar ye nabi ki aal hai
sab huey azad lekin
Aj tak zindaan mei
Qaid hai jou shah ki dukhtar ye nabi ki aal hai
aye naqi asghar isi ghum mei sada rotay rahou
Zulm sy ummat kay be ghar ye nabi ki aal hai