Mera Maula Ali Lyrics – Nadeem Sarwar | New Noha 2020

Ya Ali Ya Ali Ya Ali (X9)

Ali Asadullah (X3)

Ilzaam ye hai ishq mein deewana hun

Ali Ali Ali Ya Maula (X2)

Ilzaam ye hai khudse mein begana hun

Ali Ali Ali ya Maula (X2)

Ilzaam hai Maulayi hun mastana hun
Hannn

Iqrar hai mujhko meri fitrat hai malangana

Andaaz ya gana meri sohbat bhi fakirana
Haan naaz se kehta hun mein hun Haidari parwana

Main hun sage Shah e Najaf peer mera Ali Ali Ali Ali

Haan mera Maula Ali (X3)

Ash hadu Anna (X3) Ali un Waliullah
Ali Ali Haan mera Maula Ali (X3)

Leh dil aur dill mein Ali (X2)

Ali Ali Ali ya Maula Ali Maula (X2)

Hannn. Mujhse suno kisne hai deewana banaya

Haan kisne mere qalb pe hai dera jamaya

Aur kisne wila ka hai mujhe jaam pilaya

Wo noor e Khuda noor e Nabi S.A.W. Noor e do chashmanam

Maula e bashar ilm ka dar fazre bani hashim

Baad e Khuda Baad e Nabi Sabse bada Ali Ali

Haan mera Maula Ali (X3)

Leh dil aur dill mein Ali (X2)

Ali Ali Ali ya Maula Ali Maula (X2)

Hannn.

Kia saath mere peer ki Allah ne banayi

Asi to koi zaath zamane mein na ayi

Haan jiski parastaar hai ye sari Khudai

Maidan-E-Ghadeer mein Nabi jiske liye bola

Jis jis ka bhi Mola hun main uska hai Ali Maula

Aj bhi hai ye dil e momin pe likha Ali Ali

Haan mera Maula Ali (X3)

Ash hadu Anna (X3) Ali un Waliullah

Ali Ali Haan mera Maula Ali (X3)

Hannn.

Ye mera junoon hosh ki deta hai dawai

Ek do nhi 14 ki mere dil pe hai Shahee

Wallah dar e ilm ki karta hun ghulami

Salman ne batlaye hai kuch raaz fakirana

Qambar ne shikhaye mujhe adaab e malangana

Ishq mera aql meri hosh mera Ali Ali

Ali Maula Ali Ali Ali (X2)

Ali Ali Ali ya Maula

Leh dil

Ali Ali Ali ya Maula

Qalandaron k mazaron ko chumne walon

Qalandaron ki sada bhi kabhi suno

Kia hai sada e malang e Ali

Sada e fakire Ali

Hannn

Har nara e Haider mein Ali bol raha hai

Dam mast qalandar mein Ali bol raha hai

Momin hun mere ghar mein Ali bol raha hai

Naza hun muqadar mein Ali bol raha hai

Sine mein hai dil dil mein dharakta hai Ali Maula

Walion ka fakiron ka wazifa hai Ali Maula

Ash hado anna Ali Un Waliullah Ali Ali

Haan mera Maula Ali (X4)

Leh dil aur dill mein Ali (X2)

Ali Ali Ali ya Maula Ali Maula (X2)

Haaayee.

Afsoos tere ghar ko zamane ne sataya

Afsoos tere saamne Zehra S.A. Ko rulaya

Afsoos Musale pe lahu tera bahaya (X2)

Beton ko kia qatil sar e karbobala Maula

Aur betiyan darbaar mein paband jafa Maula

Har gaye Ahl e jafa jeet gaya Ali Ali

Han mera Maula Ali

Maula Mera Wazifa Maula mera Aqida (X2)

Ali Asadullah

Leh dil

Ali Asadullah (X2)

Hannn

Waliullah Ali. Asadullah Ali (X2)

Mera murshid Mera Aqa mera Sultan Ali (X2)

Mera waris mera Maula mera imaan Ali

Kitne anmol hai Ala hai muqadar unke

Jinki Wallah zamane mein hai pehchan Ali

Mere dil mein to sadaaaaaaaa

Mere dil mein to sada Maula mera rehta hai

Kaash ek roz mere ghar mein ho mehman Ali

Waliullah Ali. Asadullah Ali (X2)

Kahir al Adu Haider Wari al Wali Haider

Ishq e Fatima Haider Murtaza Ali Haider

Ya abul Hassan A.S. Haider Maula e Zaman Haider Sultan e sukhan Haider ay naaz e chaman Haider

La Fatah Ali Haider Ayliya Ali Haider Nasir e Nabi Haider Walion ka Wali Haider

Han mera Maula Ali (X4)

Han mera Maula Ali

Han mera Maula Ali

Ya Ali kehti hai dunia mujhe naukar tera (X2)

Ab mujhe dolat e dunia ki tamana he nhi

Shahian chor k ate hai Shahanshah yahan

Aur fakir apka Maula fakir apka

Aur fakir apka dar chor k jata he nhi

Han mera Maula Ali (X5)

6 thoughts on “Mera Maula Ali Lyrics – Nadeem Sarwar | New Noha 2020”

    • kdr galat hai mene dobara sy sary lyrics likhy r sunna b ha ab tu koi mistake nai nazar aye mujhe agar ap ko koi lag rhi ha muje mention kar dy mai correct kr lo ga Thanks

Comments are closed.